Padhne me concentrate kaise karein.

Friends agar aapko padhne me dhyan nahi lag raha hai, aur aap apne padhai mein concentrate nahi kar  paa rahe hain to koi baat nahi ye post pura padhiye aapke sare problem solve ho jayenge. aapko padhne ke nayi technique bati jaegi is post me jisse aapka kabhi bhi concentration loose nahi hoga.

CREATE A GOOD ENVIRONMENT :-

                                      
Ek aisi jagah chuniye jo padhne ke liye aachi ho chahe vo aapka room ho ya library lekin ha atmosphere clean hona chahiye koi bhi disturbance na ho aisa dhyan rakhiye. Agar aapko aache se concentration karna hai to dhyan rakhiye ki vahan T.V, pets nahi hona chahiye, ya koi bhi esi chij nahi honi chahiye jisse sound distraction ho. Uske baad aaap jahan bhi padh rahe hain vaha proper light honi chahiye, aap jis bhi chair me baith kar padh rahe hain use comfortable choose karein agar aapko chair ya light se aankho(eyes) ya back me pain ho to ye bhi ek prakar ka distraction hi haio or isse aap aache se concentrate nahi kar payenge.

  • Example ke liye :- Aap kabhi bhi T.V ke saamne beth kar na padhen isse aapka concentration kaafi low ho jaega. Agar aapko T.V dekhna hai to sirf 2 - 5 min ka bich bich me break le lijiye. jis tarah agar ham koi kam kar rahe hain to hame paani pine to jana hota hi hai to us wakt aap 2 - 5 min ka break le sakte hain usme aap ya to T.V dekhiye ya to radio bhi sun sakte hain.
  • Jab bhi padhai karne baithe to kisi table ya desk ke chair me baithein jisse aapka spinal cord straight rahega. bed me kabhi padhai mat kijiye isse concentration me effect padta hai. Aur bed me padhai karne se neend bhi aa sakti hai to kabhi bhi bed me padhai na karein. Jab bhi aap kisi desk ke chair me baith ke padhai karte hain to aapko ek bada space mil jata hai. Or sath hi sath aapko apne books rakhne ke liye ek specified jagah bhi mil jati hai to isse aap aache se padhai kar sakte hain.

KEEP ALL STUDY ITEM :-


Jab bhi aap padhne baithein to apne sath Pen, pencil, book, highlighter rakh lein usse aap distract nahi honge agar aapko kisi chij ki jarurat hai to. Aisa jagah chune jahan se aapko easily jo book chahe vo book mil jaye nahi to aapko baar baar uth ke jana hoga isse aapko disurbance nahi hogi.
  • Even agar aap sure nahi hain aapko kis chij ki jarurat hai to bhi use lekar hi padhne baithe. Jitne bhi aapke text book, Note book, aur paper jiski aapko jarurat hai(including Syllabus) use le lein. Ye ek aache successful reader ki nishani hai. Apna laptop use karein agar aapko iski jarurat ho to nahi to ise apne paas se hata dein.

KEEP SNACK WITH YOU :-

                                                                     
Koshish karein ki aap apne sath kuch snacks rakh lein jaise ki dry fruits, apple, dark chocolate bar, apne sath pani bhi rakhiye. Kabhi bhi padhte wakt coffee mat piyen agar aap raat me padhai kar rahe hon to. Coffee se aapko neend to nahi aaegi lekin ye aapka mind crash kar deta hai.
  • Agar aap apne sath kuch aacha snacks lena chahte hain to mai recommend karunga ki aap dark chocolate ya squash le sakte hain. kyuki research se pata chala hai ki dark chocolate aapka brain boost karne me help karta hai. ye sari chije aapko padhne me help karegi.

WRITE STUDY GOAL :-

                                             
Aaj aapko kya kya karna hai, aap kya karenge ki aap free ho jayein jaise ki aapne sab kuch kar liya hai. ye aapke goals hai aur ye aapko padhne me bohot help karta hai aapke study time me.

  • Aap ka jo bhi goal ho means ki aap jo bhi tay karein ki aaj aapko kitna padhna hai. utna work aap khatam kar ke hi uthein. Agar aapko 100 pages padhna hai ek subject me to aap use 20 pages per day ke hisaab se apna goal set kar sakte hain. Aur agar aapke paas samay kam hai to aap ye bhi apna goal banaiye ki kaun kaun se imporant thing hain jo aapko purekarne hain.

SWITCH OFF YOUR MOBILE :-

Agar aap cell phone use karte hain to use switch off kar dein, isse aapka concentration power bahut high rahega. Sirf computer ka hi use karein agar jaruri ho tab nahi to use bhi band rakhein.Aap chahe to apne phone ko Airplanr mode mein bhi kar sakte hain.
  • Agar aap chahe to apne sare social networking sites ko block kar dijiye, aur chinta mat kijiye kyuki ye wapas nhi unblock ho jate hain.

PLAY MUSIC :-

Kuch logon ke liye music bahut help karta hai concentrate karne mein aur kuch ke liye nahi karta. Ek baar try kijiye aur dekhiye ki kya result aata hai. Background music aapko studies me help karta hai to koi aisa music chuniye to polite ho to accha rahega. Aur yaad rakhiye ki background music aapke studies me help karta hai aap ye \mat bhool jaiye ki aap padh rahe hain bajay enjoy karne ke.


  • Try kijiye ki aisa Music ho jo background noise create kare jaise ki natural sounds birds,rain, river ke sare sound jo concentration me help karta hai. Aise bahut se aapko music online mil jayenge.

MAKE TIME TABLE :-

Agar aap long nigght padhna chahte hain to iske liye aap apna time table bana lijiye ki kitne der ka aapko break lene hai aur kitne der aapko sona hai, Kyuki neend bohot important hai agar aap soyenge nahi aur sari raat padhte rahenge to jayda kuch aap gain nahi kar payenge. Yaad rakhiye ki 1 fresh mind lakh guna behtar hota hai.
  • Try karein ki aap apne subjects har ghante change karein, ye aapko bore hone se bachata hai.Agar aap ek hi subject ko jayda der tak padhenge to aapko kuch samajh nahi aaega lekin agar aap subject change karte hain to vo aapka motivation aur mind dono jaga dega.

HOW TO REMEMBER :-

Samajh lo aaj aapne apne book se 20 pages padha hai to aap use yaad rakhne ke liye koi quiz ready kar sakte hain. Aap chahe to apne jitna bhi padha hai unka main keyword bana lein or unko kisi bhi chij se relate kar sakte hain chahe vo grammatically ya alphabetically 
  • Ye sab aapko lambe samay tak yaad rakhne me help karte hain. Aur naye naye different tarike se words ko relate karein isse aapko yaad rakhne me jayda aasani hogi aur ye aapke dimaag ke liye bhi easy hoga sare information ko jaldi catch karne ke liye. 

MAKE NOTES :-


Jo kuch bhi aap padh rahe hain unke main keywords ka notes banayein. Jitna kam ho sake utne kam keyword se reltate kijiye topic ko. Page no. Title ye sab bhi note kijiye.
  • Aapne jitna bhi notes banaya hai usme ek quiz organise kijiye jisse aapko pata chale ki aapka kitna revision ho gaya hai.
Read also :एलर्जी को कम न आकें पड़ सकती है भारी सही परामर्श लें |

FREE TIME :-

Jab bhi aapko free time mile aap apna mobile open kar sakte hain or jinke call missed hue hain unhe answer kar sakte hain. Aap chahe to internet par online bhi ho sakte hain. Lekin ye sab bus kuch der ke liye hi karein uske baad app phir se apne work me lag jayein.
  • Ye sab aapke mind ko thoda recharge karte hain aur aapka focus increase karte hain. Kuch logon ko lagta hai ye distraction hai lekin nahi ultimately isse aapka work jaldi khatam hoga. Lekin jitna kam ho sake utna hi break lein.

GET ENOUGH SLEEP :-

                                                 
Jitna ho sake proper neend lein isse apki body recharge ho jati hai aur aapne jo bhi information yaad kiya hai. kyuki ek tired aadmi focus karne ke liye jitni mehnat karta hai vo ek drunked man ke saman hai.
  • Kuch logon ko 7 - 8 hrs ki sleep chahiye hoti hai, Kuch ko kam aur kuch ko isse bhi jayda. Hamesha jab sone ko jaye to alarm bhi sath me le ke jayein. Alarm sanse useful chij hai.

EAT HEALTHY FOOD :-

                                                     
Agar aap aacha aur healthy food kahayenge to aapka mind sharp aur healthy rahega .Jayda se jayda fruits khaiye ye aapke sehat ke liye bahut aacha hota hai. Ek healthy diet aapko jayda energetic rakhne me help karta hai aur aapko jayada focus karne me help karta hai.
  • Jitne bhi white food hain jaise ki Potato, Flour, sugar ye sab avoid karein isse aapko padhte wakt neend aa sakti hai. Kyuki ye sare dead food hai. Jinse dur rahna accha hai.

FINAL TEST :-

Aapne jitna bhi padha hai ab bari aati hai uske final test ki aap apne sare subjects ki final test le sakte hai isse aapko ek glance rahega ki aapka kya mistake hai aur aapne kaha kya galati ki hai. Agar aapka exam ek din baadd hai to mai recommend karunga ki aapne jitna bhi padha hai uska ek baar test le lijiye aapko isse apne sare information ek baar revise bhi ho jayenge.
  • Aap ek proper test lijiye agar kuch yad na aaye to use blank rakhein test ke baad aap use sudharein.
  • Aap ek bunch of question book bana sakte hain jisse aap kahin bhi solve kijiye isse aapka focus jayada inncrease hota hai.
Friends agar ye post aapko aachi lagi to niche diye hue sharing button se aap share kar skate hain. Aur aap comment ke jariye ye bhi bata sakte hain ki aapko post kaisi lagi. Aur agar aapka koi sawal hai post se related to niche diye hue comment ke jariye puch sakte hain.




2 comments:

Popular Posts

Alexa Rank

Join with Us