Blogger me template kaise change karein :-

TEMPLATE KYA HAI :-

Template ek prakar ka theme hai jisse hamare blog par hamara control rehta hai bina template ke website open nahi hoti hai. Blogger aapko shuruvat mein default template laga ke deta hai jise aap change kar sakte hain
Aap sabhi jante hain ki blogger ek bahut hi aacha platform hai apni website banane ka isme ham free me website bana sakte hain. Lekin apni website ke liye aachi design chunna bhi ek bahut bada kaam hai to aaj me aapko website ka template(theme) kaise change karte hain vo bataunga. Ummed karta hun ki aapko ye post pasand aaegi. Agar ye post aapko pasand aati hai to ise share jarur karein.

TEMPLATE KAISE UPLOAD KAREIN :-

How to chnage template in blogger ??
Blogger me template change karne se pehle aap koi aacha template download kar lijiye. aapko google mein  koi bhi aacha template mil jaega. Blogger mein template change karne ke liye aap ye sari steps follow kijiye.

Step 1:- Sabse pehle blogger ke dashboard me jaiye, or template ke option me jaiye. 
Blogger dashbpoard..

Step 2:- Template ke option me jane ke baad aap upar ke right position me Back up & restore ka button dikh raha hoga use click kijiye to aapke samne ek nayi screen aaegi,(Example upar diye hue image mein red mark ).


How to change templlate??
Step 3:- Ab jo screen khulegi usme aap sabse pehle sabse top me diye hue button download Full Template me click kijiye kyuki agar template upload karte samay agar kuch error hua to aapki purani template aap upload kar sakte hain.
Step 4:- Template download karne ke baad aap niche diye hue button choose file mein click kijiye aur apna naya template choose kijiye jo aapne download kiya hoga ya jisse aapko upload karna hai. Ek baat yaad rakhiye ki template ki jo file hoti hai wo .xml me hoti hai aur aap jis site se template download karenge uska aapko zip file milega use extract kar ke .xml file upload kijiye uske sivay aur koi bhi file blogger except nahi karega.

Padhai me concentrate kaise karein???


Step 5:- Ab aapko update button me click karna hai aapka template upload ho jaega. Aap view blog me jaa ke check kar sakte hain, Agar koi problem ho to phir se template upload karrne ka process kijiye vaise kabhi error nahi aati hai blogger mein.
To ab aapne successfully template upload karna sikh chuke hain, Agli post me mein aapko wordpress me free website banana sikhaunga. Agar aapko is post se related kisi bhi topic me problem hai to aap comment ke jariye puch sakte hain aapke sawalo sa jawab aapko jarur milega. Aur agar ye post aapko aachi lage to kripya ise share karna na bhulein. Niche diye hue sharing button se aap Twitter, Facebook me share kar sakte hain.

0 comments:

Post a Comment

Popular Posts

Alexa Rank

Join with Us