Android phone ko kaise update karein ???

Friends aaj lagbhag sabhi log android user hain kyuki ye ek bahut hi aacha operating system hai jisse google ne hame provide kiya hua hai iske jariye ham internet par kuch bhi kar sakte hain, jaise ki online bill bharna, recharge karna, shopping karna aur bhi bahut kuch ham kar sakte hain.
                                                  
Lekin android phone ko fully update rakhna bhi bahut jaruri hai kyuki jab hamara software update nahi hua aur agar  koi naya software ya game launch ho to ho sakta hai ki vo hamare phone me na chale, isiliye hame hamara phone fully update rakhna chahiye, aaj me aapko Android phone kaise update krte hain.
Bahut se mobile hain jo android os me chalte hain lekin software update ki settin sabki ek hi hai.
Mai aapko samsung mobile ka example deta hu ki isme kaise software update karein, Vaise aapke mobile me bhi same setting hogi iski tarah.

Email id kaise banayein ???
Blogger mein domain kaise add karein ??


ANDROID PHONE KO KAISE UPDATE KAREIN ???


  • Phone update karne se pehle phone ke saare data ka back up bana kijiye kyuki ho sakta hai ki update ke wakt saare data delete ho jayein, agar aapke paas pc hai to aap usme apna back up bana liiye aur agar nahi hai to apne mobile ke memory card me saare data transfer kar lijiye.
  • Phone update karne ke liye hame ek internet connection ki jarurat hoti hai, to jab bhi aap phone update karein apna data connection, ya wifi on kar lijiye.
  • Sabse pehle apne mobile phone ki settings me jaiye or sabse last me appko ek option milega About device usme click kijiye 
  • About device me click karne ke baad aap 1 option me dekhiye aapko software update ka option dikha raha hoga, usme click kijiye 
                                                  
  • Uske baad 1st option me update ka option aa raha hoga usme click kijiye to wo check karega ki aapke phone ke liye koi update available hai ki nahi, ab jaise hi aap click karenge to aapko puchega ki download via data pack ye message unko aaega jo bina wifi ke update kar rahe honge.
  • Agar koi update available hoga to vo apne aap download hona shuru ho jaega.
  • Phir kuch der baad aapka update download ho jaega aur aap usko install kar lijiye, install ka button press karne mein aapka phone switch off ho jaega or phir se on hoga.
  • Ab aapka software install hona shuru ho jaega aur kuch minute me screen me likh ke aaega ki you are successfully updated your phone.
To ab aapne phone me software kaise update karte hain vo sikh liya hai jab bhi koi naya update aaye aap apna phone update kar sakte hain.
Aapko ye jankari agar aachi lagi to niche diye hue sharing button se aap twitter, facebook aur google plus me ise share kar sakte hain , aur agar is post se related aapka koi bhi sawal hai to use bhi aap comment ke jariye puch sakte hain aapke saare sawalon ka jawab aapko jarur milega.

0 comments:

Post a Comment

Popular Posts

Alexa Rank

Join with Us